masāfatoñ meñ dhuup aur chhāñv kā savāl kyā
safar hī shart hai to phir uruuj kyā zavāl kyā
firāq-sā.atoñ ke zaḳhm ruuh tak pahuñch chuke
mayassar aa.eñ bhī to ab masā.ī-e-visāl kyā
hunar ko dhuup jañgaloñ kī muskurāhaToñ meñ hai
gulāb bastiyoñ meñ hañste rahne kā kamāl kyā
umiid hī to dil-shajar kī āḳhirī asaas thī
shagūfa ye bhī ho gayā ḳhizāñ se pā.emāl kyā
tamām-shahr hī havā ke dosh par savār hai
dikhā.e koī zaḳhm kyā sunā.e koī haal kyā