Farhat Ehsas

din ne itna jo marizana bana rakkha hai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
din ne itnā jo marīzāna banā rakkhā hai
raat ko ham ne shifā-ḳhāna banā rakkhā hai
intiqām aisā liyā hai mirī tanhā.ī ne
shahr kā shahr bayābāna banā rakkhā hai
ḳhaak kā ḳhāna ġharībāna-badan hai ki jise
raunaq-e-ishq ne shāhāna banā rakkhā hai
ham ko ma.alūm hai ḳhuub apnī haqīqat so use
usī unvān kā afsāna banā rakkhā hai
mubtazil hone kā aap apnā maza hai varna
ham ne bhī ḳhud ko hakīmāna banā rakkhā hai
aadmī ho ki ḳhudā sab kā barābar hai vazn
ishq ne ek hī paimāna banā rakkhā hai
chaak kar kar ke hue tañg to dīvānoñ ne
chaak ko ab ke garībāna banā rakkhā hai
'farhatullah' hai vo aql kā putlā jis ne
farhat-ehsās ko dīvāna banā rakkhā hai
Top Urdushayar.com