Farhat Ehsas

jis ko jaisa bhi hai darkar use waisa mil jae

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
jis ko jaisā bhī hai darkār use vaisā mil jaa.e
tū mayassar ho mujhe aur tujhe duniyā mil jaa.e
sañg se sañg ke Takrāne kā manzar dekhūñ
kabhī aisā ho ki tujh ko koī tujh sā mil jaa.e
ye dhaḌaktā huā dil us ke havāle kar duuñ
ek bhī shaḳhs agar shahr meñ zinda mil jaa.e
saḳht sardī meñ ThiThurtī hai bahut ruuh mirī
jism-e-yār aa ki bechārī ko sahārā mil jaa.e
tū ḳhudā hai to mujhe kufr meñ mustahkam kar
ki mujhe rāz-e-sanam-ḳhāna-e-duniyā mil jaa.e
ham to bas dhuup kī shiddat meñ kamī chāhte haiñ
kab kahā hai ki kahīñ raah meñ saayā mil jaa.e
apne ā.īna-e-tauhīd meñ allāh-miyāñ
dekhte rahiye koī aap hī jaisā mil jaa.e
fasl-e-sher aa.ī hai bāzār-e-suḳhan meñ dekh aao
farhat-ehsās bhī shāyad koī taaza mil jaa.e
Top Urdushayar.com