ruuh ko to ik zarā sī raushnī darkār hai
jism ko lekin bahut kuchh aur bhī darkār hai
aaj phir ham se kiyā daryāft koh-e-tūr ne
is se kyā kahte ki nūr-e-gumrahī darkār hai
ba.ad meñ ishq-e-haqīqī bhī mayassar ho to kyā
ye majāzī to hameñ fauran abhī darkār hai
ishq us ḳhvāhish pe merī soch meñ gum ho gayā
mujh ko paanī bhī hai darkār aag bhī darkār hai
farhat-ehsās apnī miTTī kā dhaḌaktā dil sambhāl
ba.ad marne ke jo tujh ko zindagī darkār hai