Farhat Ehsas

maut hi ek dawa hai aur wo jari hai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
maut hī ek davā hai aur vo jaarī hai
ham ko zinda rahne kī bīmārī hai
sirf udaas rahoge gar tum sachche ho
baaqī har jazba-e-mashq fankārī hai
andar andar dar-ba-darī hī dar-ba-darī
bāhar bāhar ḳhuub dar-o-dīvārī hai
jism bahut bhārī haiñ shahr ke logoñ ke
jismoñ meñ dil haiñ to aur bhī bhārī haiñ
dariyā meñ sāhil haiñ daḳhl-andāz bahut
dariyā bechāra kyā hai bas jaarī hai
maiñ to apne aap se aarī huuñ kab se
phir ye kis ke hone kī tayyārī hai
sher meñ ek zarā sā hotā hai ilhām
us ke ba.ad to jo kuchh hai fankārī hai
fankārī to aire-ġhaire bhī kar leñ
aslan to ilhām meñ hī dushvārī hai
jism uḌā phirtā hai vahī bāzāroñ meñ
ruuh vahī masrūf-e-ḳhāna-dārī hai
chehra abhī tak hai ḳhāna-ābād mirā
us ke muqābil ā.īna-bāzārī hai
kāsa-e-jism banā baiThā hai jab dekho
ye farhat-ehsās ajiib bhikārī hai
Top Urdushayar.com