ḳhaak hai merā badan ḳhaak hī us kā hogā
donoñ mil jaa.eñ to kyā zor kā sahrā hogā
phir mirā jism mirī jaañ se judā hai dekho
tum ne Tāñkā jo lagāyā thā vo kachchā hogā
tum ko rone se bahut saaf huī haiñ āñkheñ
jo bhī ab sāmne aa.egā vo achchhā hogā
roz ye soch ke sotā huuñ ki is raat ke ba.ad
ab agar aañkh khulegī to saverā hogā
kyā badan hai ki Thahartā hī nahīñ āñkhoñ meñ
bas yahī dekhtā rahtā huuñ ki ab kyā hogā