bahut sī āñkheñ lagīñ haiñ aur ek ḳhvāb tayyār ho rahā hai
haqīqatoñ se muqāble kā nisāb tayyār ho rahā hai
tamām duniyā ke zaḳhm apne bayāñ qalam-band kar rahe haiñ
mirī savāneh-hayāt kā ek baab tayyār ho rahā hai
bahut se chāñd aur bahut se phuul ek tajrabe meñ lage haiñ kab se
sunā hai tum ne kahīñ tumhārā javāb tayyār ho rahā hai
chaman ke phūloñ meñ ḳhuun dene kī ek tahrīk chal rahī hai
aur is lahū se ḳhizāñ kī ḳhātir ḳhizāb tayyār ho rahā hai
purānī bastī kī khiḌkiyoñ se maiñ dekhtā huuñ to sochtā huuñ
nayā jo vo shahr hai bahut hī ḳharāb tayyār ho rahā hai
khule hue haiñ fanā ke daftar meñ sab anāsir ke goshvāre
ki āsmānoñ meñ ab zamīñ kā hisāb tayyār ho rahā hai
maiñ jab kabhī us se pūchhtā huuñ ki yaar marham kahāñ hai merā
to vaqt kahtā hai muskurā kar janāb tayyār ho rahā hai
badan ko jaanā hai pahlī baar aaj ruuh kī mahfil-e-tarab meñ
to aisā lagtā hai jaise koī navāb tayyār ho rahā hai
is imtihāñ ke savāl aate nahīñ nisāboñ se maktaboñ ke
ajiib āshiq hai ye jo paḌh kar kitāb tayyār ho rahā hai
junūñ ne barpā kiyā hai sahrā meñ shahr kī ta.aziyat kā jalsa
to 'farhat-ehsās' bhī ba-chashm-e-pur-āb tayyār ho rahā hai