us taraf tū tirī yaktā.ī hai
is taraf maiñ mirī tanhā.ī hai
do alag lafz nahīñ hijr o visāl
ek meñ ek kī goyā.ī hai
hai nishāñ jañg se bhaag aane kā
ghar mujhe bā.is-e-rusvā.ī hai
habs haiñ mashriq o maġhrib donoñ
ab na pachhvā hai na purvā.ī hai
ghaas kī tarah paḌe haiñ ham log
na bulandī hai na gahrā.ī hai
jis bayābāñ meñ huuñ maiñ ābla-pā
vo bayābāñ mirī sachchā.ī hai
us kī bātoñ pe ḳhafā mat honā
'farhat' ehsās to saudā.ī hai