zamīñ ne lafz ugāyā nahīñ bahut din se
kuchh āsmāñ se bhī aayā nahīñ bahut din se
ye shahr vo hai ki koī ḳhushī to kyā detā
kisī ne dil bhī dukhāyā nahīñ bahut din se
ajiib log haiñ bas rāstoñ meñ milte haiñ
kisī ne ghar hī bulāyā nahīñ bahut din se
tujhe bhulānā to mumkin nahīñ magar yūñhī
tirā ḳhayāl hī aayā nahīñ bahut din se
namāz kaise paḌhūñ maiñ baġhair paak hue
ki āñsuoñ meñ nahāyā nahīñ bahut din se
ham apnī mamlikat-e-dard meñ akele haiñ
hamārī koī re.āyā nahīñ bahut din se
mufāhamat sī ajab ho ga.ī hai raat ke saath
charāġh maiñ ne jalāyā nahīñ bahut din se