Farhat Ehsas

main shahri hun magar meri bayabani nahin jati

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
maiñ shahrī huuñ magar merī bayābānī nahīñ jaatī
junūñ kuchh bhī pahan le us kī uryānī nahīñ jaatī
nahīñ kuchh aur hogā vo mohabbat to nahīñ hogī
ki itnī raushnī itnī ba-āsānī nahīñ jaatī
khule haiñ saare darvāze hamāre qaid-ḳhāne ke
ki darvāze talak zanjīr-e-zindānī nahīñ jaatī
butoñ ko dekhte hī huuk sī ik dil meñ uThtī hai
dil-e-momin se yād-e-kufr-sāmānī nahīñ jaatī
uThā laatā huuñ maiñ bāzār se roz ik na.ī aafat
mire ghar se balā-e-sāz-o-sāmānī nahīñ jaatī
azal kā dāġh-e-hijr itnā hamāre dil pe raushan hai
ki apnī vasl kī arzī kahīñ maanī nahīñ jaatī
maiñ kab kā us kī hadd-e-dīd se bāhar nikal aayā
magar us kī taraf se merī nigarānī nahīñ jaatī
tamām a.asāb par taarī hai nasrī nazm duniyā kī
magar 'ehsās'-sāhab kī ġhazal-ḳhvānī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com