kyā baiTh jaa.eñ aan ke nazdīk aap ke
bas raat kāTnī hai hameñ aag taap ke
kahiye to aap ko bhī pahan kar maiñ dekh luuñ
ma.ashūq yuuñ to haiñ hī nahīñ merī naap ke
bajtī haiñ shahr shahr mire dil kī dhaḌkaneñ
charche haiñ duur duur usī Dholak kī thaap ke
ik raat aap jism-e-ḳhudā ban ke aa.iye
aur ham gunāhgār hoñ pahlū meñ aap ke
'ehsās-jī' pe aisā chaḌhā āshiqī kā rañg
sab daaġh miT ga.e haiñ tilak aur chhāp ke