Farhat Ehsas

KHilaf-e-gardish-e-mamul hona chahta hun

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
ḳhilāf-e-gardish-e-ma.amūl honā chāhtā huuñ
madad kar shahr-e-nā-maqbūl honā chāhtā huuñ
chalo apnī taraf se band kar lo merī āñkheñ
maiñ apne aap meñ mashġhūl honā chāhtā huuñ
tire qadmoñ pe rakh dī dekh ye dastār maiñ ne
ki apne aap se māzūl honā chāhtā huuñ
maiñ rahnā chāhtā huuñ tere dāman se lipaT kar
so tere rāste kī dhuul honā chāhtā huuñ
sadā-e-lams-e-lab de bhī ki maiñ ġhuncha suḳhan kā
bahut din ho ga.e ab phuul honā chāhtā huuñ
tavajjoh huuñ magar markūz duniyā par huuñ kab se
ab aap apnī taraf mabzūl honā chāhtā huuñ
badan ke haath kā likkhā huā huuñ ishq-nāma
aur apnī ruuh ko mausūl honā chāhtā huuñ
mujhe ghar bhī chalānā hai ab apnā 'farhat-ehsās'
to kuchh din ke liye ma.aqūl honā chāhtā huuñ
Top Urdushayar.com