Farhat Ehsas

hamein jab apna taaruf karana paDta hai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
hameñ jab apnā ta.āruf karānā paḌtā hai
na jaane kitne dukhoñ ko dabānā paḌtā hai
ab aa rahā ho koī jism is tasavvuf se
to ham ko halqa-e-bai.at baḌhānā paḌtā hai
kisī ko niiñd na aatī ho raushnī meñ agar
to ḳhud charāġh-e-mohabbat bujhānā paḌtā hai
bahut ziyāda haiñ ḳhatre badan kī mahfil meñ
par apnī ek hī mahfil hai jaanā paḌtā hai
ḳhudā hai qādir-e-mutlaq ye baat khultī hai tab
jab us se kaam koī kāfirāna paḌtā hai
bahut ziyāda ḳhushī se vafāt pā gayā ho
to aise dil ko dukhā kar jilānā paḌtā hai
hamāre paas yahī shā.irī kā sikka hai
ulaT-palaT ke isī ko chalānā paḌtā hai
sunā hai tum mire dil kī taraf se guzre the
isī taraf to mirā kārḳhāna paḌtā hai
ajiib tarz-e-taġhazzul hai ye miyāñ 'ehsās'
ki jism-o-rūh ko ik sur meñ gaanā paḌtā hai
Top Urdushayar.com