hai Toñk arz-e-pāk vahīñ se uTheñge ham
uTThī jahāñ se ḳhaak vahīñ se uTheñge ham
dīvār-e-mai-kada ke udhar salsabīl hai
farzandagān-e-tāk vahīñ se uTheñge ham
muddat se band hai jo darīcha bahār kā
ai kunj-e-nā-tapāk vahīñ se uTheñge ham
pairāhan-e-falak pe jahāñ ḳhatt-e-nūr hai
dāman hai vaañ se chaak vahīñ se uTheñge ham
ham ne vahīñ pe chāñd ko dekhā hai multafit
vo ghar hai tābnāk vahīñ se uTheñge ham
is ḳhaak hī ne ḳhaak ko paalā hai umr bhar
paayā jahāñ se kaak vahīñ se uTheñge ham
'arshad' ham apne shahr se aa to ga.e magar
apnī vahīñ hai dhaak vahīñ se uTheñge ham