maiñ ronā chāhtā huuñ ḳhuub ronā chāhtā huuñ maiñ
aur is ke ba.ad gahrī niiñd sonā chāhtā huuñ maiñ
tire hoñToñ ke sahrā meñ tirī āñkhoñ ke jañgal meñ
jo ab tak pā chukā huuñ us ko khonā chāhtā huuñ maiñ
ye kachchī miTTiyoñ kā Dher apne chaak par rakh le
tirī raftār kā ham-raqs honā chāhtā huuñ maiñ
tirā sāhil nazar aane se pahle is samundar meñ
havas ke sab safīnoñ ko Dubonā chāhtā huuñ maiñ
kabhī to fasl aa.egī jahāñ meñ mere hone kī
tirī ḳhāk-e-badan meñ ḳhud ko bonā chāhtā huuñ maiñ
mire saare badan par dūriyoñ kī ḳhaak bikhrī hai
tumhāre saath mil kar ḳhud ko dhonā chāhtā huuñ maiñ