bīmār ho gayā huuñ shifā-ḳhāna chāhiye
ye saarā shahr mujh ko bayābāna chāhiye
sāñsoñ kī zarb se na kaTegā hamārā habs
ham ko to ek puurā havā-ḳhāna chāhiye
yuuñ hī dikhā rahī hai mohabbat ke sabz baaġh
mere badan ko ruuh se harjāna chāhiye
tāḳhīr ho ga.ī to bikhar jā.egā badan
āġhosh-e-yār ab tujhe khul jaanā chāhiye
phir dāvat-e-gunāh milī ik nigāh se
phir merī pārsā.ī ko sharmānā chāhiye
vo jalva sāmne ho to kaisī duā-salām
bas dekhte hī kaam pe lag jaanā chāhiye
dekheñ to kaun jaatā hai mahmil meñ ḳhvāb ke
ta.abīr ke ġhazāl ko dauḌānā chāhiye
ūdham machā rahe haiñ bahut log shahr ke
'ehsās-jī' ko dasht se bulvānā chāhiye