Farhat Ehsas

ek hawa aai hai diwar mein dar karne ko

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
ik havā aa.ī hai dīvār meñ dar karne ko
koī darvāza khulā hai mujhe ghar karne ko
duur sahrā meñ koī zulf sī lahrā.ī hai
koī bādal sā uḌā hai mujhe tar karne ko
nazar aa.ī hai kisī chāñd kī parchhā.īñ sī
shab-e-hastī meñ mire saath safar karne ko
aa mujhe chhū ke harā rañg bichhā de mujh par
maiñ bhī ik shāḳh sī rakhtā huuñ shajar karne ko
ai sadaf sun tujhe phir yaad dilā detā huuñ
maiñ ne ik chiiz tujhe dī thī guhar karne ko
Top Urdushayar.com