Farhat Ehsas

ghar banane mein tamam ahl-e-safar lag gae hain

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
ghar banāne meñ tamām ahl-e-safar lag ga.e haiñ
kyā tamāshe ye sar-e-rāhguzar lag ga.e haiñ
toḌ kar band-e-qabā jism uḌā jaatā hai
kaise is ḳhaak kī dīvār ko par lag ga.e haiñ
sirf ik tujh se bichhaḌne kā nahīñ ḳhauf hameñ
saath meñ ab ke ka.ī aur bhī Dar lag ga.e haiñ
sabza-e-mutazir is darja numū ko pahuñchā
dekh ham dar pe tire misl-e-shajar lag ga.e haiñ
jashn-e-girya to kiyā thā mirī āñkhoñ ne shurūa
saath ab shahr ke sab dīda-e-tar lag ga.e haiñ
kaisī afvāh uḌī tujh se mire rishte kī
sab tire chāhne vaale mire ghar lag ga.e haiñ
husn to hai hī na.ī tarah se ātish-añgez
aa.ine ko bhī na.e barq-o-sharar lag ga.e haiñ
kārḳhāna hai usī husn kā aalam saarā
bas jidhar us ne lagāyā hai udhar lag ga.e haiñ
jis kī pādāsh meñ hai dar-ba-darī kā ye itaab
phir usī kaam pe ham shahr-badar lag ga.e haiñ
'farhat-ehsās' maiñ kyā dekhā jo us ke pīchhe
āñkheñ dikhlāte hue ahl-e-nazar lag ga.e haiñ
Top Urdushayar.com