pahle to zarā sā haT ke dekhā
us shoḳh se phir lipaT ke dekhā
itnī bhī burī na thī jo maiñ ne
duniyā ko zarā sā haT ke dekhā
dekhā use us kā ho ke aur phir
kyā farq paḌegā kaT ke dekhā
ham jam.a hue hī jā rahe the
ārām milā jo ghaT ke dekhā
vo aur qarīb aa gayā thā
jab maiñ ne zarā simaT ke dekhā
phir dil ne mire ġham aur ḳhushī ko
rassī kī tarah se baT ke dekhā
kal Duub rahā thā 'farhat-ehsās'
ham ne bhī tamāshā DaT ke dekhā