phir vahī mausam-e-judā.ī hai
phir mujhe apnī yaad aa.ī hai
phir paḌhā maiñ ne terā pahlā ḳhat
phir se tujh tak mirī rasā.ī hai
phuul sā phir mahak rahā huuñ maiñ
phir hathelī meñ vo kalā.ī hai
pahle bose kī nīm-garm aahaT
phir rag-e-jāñ meñ rat-jagā.ī hai
phir harī hai tamām tanhā.ī
phir se paanī ko sabz-pā.ī hai
phir mirā hai tamām sannāTā
phir mirī bāz-gasht chhā.ī hai
phir zamāna mirī giraft meñ hai
phir mujhe vahm-e-kibriyā.ī hai
phir tujhe chhū ke dekhtā huuñ maiñ
phir se qindīl sī jalā.ī hai
phir tasavvur meñ tere lab aa.e
merī har baat phir hinā.ī hai
Dher hai phir se ḳhaak kī dīvār
phir mujhe zauq-e-rūnumā.ī hai
phir vahī meñ nayā nayā sā huuñ
phir zamīñ se mirī rihā.ī hai