Farhat Ehsas

hamesha ka ye manzar hai ki sahra jal raha hai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
hamesha kā ye manzar hai ki sahrā jal rahā hai
par ab hairat to us par hai ki dariyā jal rahā hai
tumheñ fursat ho jiine se to apne paar dekho
pas-e-dīvār-e-ayyām ik zamāna jal rahā hai
zarā sī der ko shāne se apnā sar haTā le
tire ruḳhsār ke sho.aloñ se shāna jal rahā hai
safar karnā hai aglī sub.h aur garmī-e-pā se
mire bistar kā saarā pā.itāna jal rahā hai
pighal kar gir rahe haiñ mere sar par chāñd taare
sunā hai āsmāñ kā shāmiyāna jal rahā hai
Top Urdushayar.com