ba-rañg-e-sabza unhī sāhiloñ pe jam jaa.eñ
ravāñ hue the jahāñ se vahīñ pe tham jaa.eñ
ham us ke paas se aa.eñ vajūd se bhar kar
pa shart hai ki vahāñ sūrat-e-adam jaa.eñ
vo be-panāh ḳhamoshī talab kare ik baar
to baar baar nayā lafz ban ke ham jaa.eñ
mo.āmla to ye faurī amal kā hai phir bhī
mirī suneñ to abhī thoḌī der tham jaa.eñ
farāḳh dil hai bahut vo magar miyāñ-'ehsās'
ziyāda miltā hai utnā hī jitnā kam jaa.eñ