tah-e-badan kahīñ bedār hotā jaatā huuñ
vo paas aatā hai jitnā maiñ sotā jaatā huuñ
zamīn niklī chalī jā rahī hai hāthoñ se
maiñ āsmān-e-mohabbat meñ khotā jaatā huuñ
udhar vo mujh se gurezāñ hai mujh pe hañste hue
idhar maiñ us ke ta.āqub meñ rotā jaatā huuñ
har ek lamha banāte haiñ mujh ko haath us ke
vo kartā jaatā hai mujh ko maiñ hotā jaatā huuñ
maiñ kā.enāt kā mazdūr ashraf-e-maḳhlūq
koī bhī kaam ho ik maiñ hī jotā jaatā huuñ
badan kī ḳhaak to uḌ jā.egī havā maiñ kahīñ
magar vo peḌ raheñge jo botā jaatā huuñ
vo teġh-e-kasrat-e-ma.anī lagī taḳhallus ko
ki do do 'farhat'-o-'ehsās' hotā jaatā huuñ