dekhte hī dekhte khone se pahle dekhte
raushnī ko raushnī hone se pahle dekhte
is tarah zaa.e.a huī hotīñ na āñkheñ niiñd meñ
ham ye saare ḳhvāb agar sone se pahle dekhte
shahr kā ā.īna-ḳhāna hai sar-e-sailāb-e-aks
apnā chehra bhiiḌ meñ khone se pahle dekhte
ba.ad kā saarā safar qaabū meñ rahtā aap ke
ḳhaak ko gar be-karāñ hone se pahle dekhte
ab to jo kuchh hai sahāfat hī sahāfat hai yahāñ
jo bhī honā thā use hone se pahle dekhte
biij kis sūrat meñ bāhar aa.egā kis ko ḳhabar
fasl kyā hogī use bone se pahle dekhte
dekhte bādal se bārish tak safar taklīf kā
tum mirī āñkheñ agar rone se pahle dekhte
dekhne meñ der kar dī aap ne 'ehsās' ko
ho chukā bas vo use hone se pahle dekhte