charāġh-e-shahr se sham-e-dil-e-sahrā jalānā
aur us kī lau se mahfil-e-ḳhāna-e-duniyā jalānā
tamāshe kyā dikhātā hai mirā bārūd-e-hastī
tumheñ mujh ko jalānā hai to phir zinda jalānā
baḌe sūraj bane phirte ho tum ik raat aa kar
zarā merā charāġh-e-mausam-e-sarmā jalānā
use mujh se bas itnā hī ta.alluq hai ki har raat
charāġh-e-jism apnā pesh-e-ā.īna jalānā
chalo āñkhoñ pe āñkheñ rakh ke ham ik saath roleñ
ye zid chhoḌo bahut ab ho gayā jalnā jalānā
jo har baar apnī ḳhākistar se uTh paḌtā hai zinda
to ham ne 'farhat-ehsās' ab tujhe chhoḌā jalānā