Farhat Ehsas

paikar-e-aql tere hosh Thikane lag jaen

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
paikar-e-aql tire hosh Thikāne lag jaa.eñ
tere pīchhe bhī jo ham jaise divāne lag jaa.eñ
us kā mansūba ye lagtā hai galī meñ us kī
ham yūñhī ḳhaak uḌāne meñ Thikāne lag jaa.eñ
soch kis kaam kī rah jā.egī terī ye bahār
apne andar hī agar ham tujhe paane lag jaa.eñ
sab ke jaisī na banā zulf ki ham sāda-nigāh
tere dhoke meñ kisī aur ke shāne lag jaa.eñ
raat bhar rotā huuñ itnā ki ajab kyā is meñ
Dher phūloñ ke agar mire sirhāne lag jaa.eñ
dasht karnā hai hameñ shahr ke ik goshe ko
to chalo kaam pe ham saare divāne lag jaa.eñ
'farhat' ehsās ab aisā bhī ik āhañg ki log
sun ke ash.ār tire nāchne gaane lag jaa.eñ
Top Urdushayar.com