Farhat Ehsas

sahra ke sangin safar mein aab-rasani kam na paDe

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
sahrā ke sañgīn safar meñ āb-rasānī kam na paḌe
saarī āñkheñ bhar kar rakhnā dekho paanī kam na paḌe
zehn-e-musalsal qisse socheñ hoñTh musalsal zikr kareñ
sub.h talak zinda rahnā hai kahīñ kahānī kam na paḌe
ishq ne sauñpā hai mujh ko ik sahrā kī ta.amīr kā kaam
aur hidāyat kī hai zarra bhar vīrānī kam na paḌe
merī shah-rag kaaTī us ne aur kahā shoḳhī ke saath
tū sachchā āshiq hai to phir dekh ravānī kam na paḌe
thoḌā thoḌā martā bhī rahtā huuñ maiñ jiine ke saath
taaki vaqt-e-zarūrat marne kī āsānī kam na paḌe
sajda karne ko hotā huuñ ek bahut hī baḌe but kā
aur phir sochtā huuñ ye chhoTī sī peshānī kam na paḌe
hameñ chhupāne ko duniyā ne khol diye kapḌoñ ke thaan
chāk-garebānī ye tirā zor-e-uryānī kam na paḌe
tum 'farhat-ehsās' bas apne aap ko marne mat denā
taaki daftar-e-duniyā meñ daḳhl-e-insānī kam na paḌe
Top Urdushayar.com