Farhat Ehsas

KHat bahut uske paDhe hain kabhi dekha nahin hai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952

ḳhat bahut us ke paḌhe haiñ kabhī dekhā nahīñ hai

kyā mire parda-nashīñ koī chehrā nahīñ hai

shahr itnā bhī na kar zulm ki zid par aa jā.ūñ

merā sahrā se ta.alluq abhī TuuTā nahīñ hai

kyā dikhātā hai mire naam pe ā.īna-e-shahr

muddatoñ se mirā apnā koī chehra nahīñ hai

jism pyaas ko hūroñ bashārat pe na Taal

ye hamārā dil-e-sāda koī bachcha nahīñ hai

kuchh nahīñ tishnagī-e-dīda-e-bīnā ilaaj

ḳhvāb tak meñ bhī koī sūrat-e-dariyā nahīñ hai

kab mujhe tujh se mohabbat hai urūs-e-duniyā

azdavājī ye rishta koī rishta nahīñ hai

'farhat-ehsās' nayā chāhiye us ko har raat

magar afsos ki us koī paidā nahīñ hai

Top Urdushayar.com