milā hai jism ki us kā gumāñ milā hai mujhe
vo haath aa ke bhī aksar kahāñ milā hai mujhe
maiñ sirf dekh hī saktā huuñ chashm-e-sāhil se
ki vo badan ajab āb-e-ravāñ milā hai mujhe
faroḳht kar ke ḳhasāre meñ aa gayā bāzār
to soch lo ki vo kitnā garāñ milā hai mujhe
achānak aaj mirā zaḳhm baat karne lagā
bahut dinoñ meñ koī ham-zabāñ milā hai mujhe
hamesha der se pahuñchā maiñ us kī mahfil meñ
bajā.e aag hamesha dhuāñ milā hai mujhe
ajab kashākash-e-īmān-o-kufr rahtī hai
vo but hamesha ba-vaqt-e-azāñ milā hai mujhe
ulaT ke rakh diyā 'ehsās' ne hisāb-e-umr
vo roz kal se ziyāda javāñ milā hai mujhe