pahle qabristān aatā hai phir apnī bastī aatī hai
jaane kitnī qabroñ se ho kar sham-e-hastī aatī hai
chaḌh kar saarī sharābeñ jab auqāt pe apnī aa jaatī haiñ
chaḌhtā hai dariyā-e-ḳhūñ aur miTTī ko mastī aatī hai
raushnī us kī Daak se aane meñ to zamāne lag jaate haiñ
is daurān ik nuur kī chiTThī kabhī kabhī dastī aatī hai
bāzār-e-hastī jaate haiñ kyā kyā ḳhvāhish le kar lekin
maut ḳharīd ke le aate haiñ kyuuñ ki zarā sastī aatī hai
kachchī miTTī ke 'farhat-ehsās' zarā paanī meñ sambhal kar
dariyā meñ tum ḳhuub nahāte ho jab bhī mastī aatī hai