Farhat Ehsas

Thokaren kha ke sambhalna nahin aata hai mujhe

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
Thokareñ khā ke sambhalnā nahīñ aatā hai mujhe
chal mire saath ki chalnā nahīñ aatā hai mujhe
apnī āñkhoñ se bahā de koī mere aañsū
apnī āñkhoñ se nikalnā nahīñ aatā hai mujhe
ab tirī garmi-e-āġhosh hī tadbīr kare
mom ho kar bhī pighalnā nahīñ aatā hai mujhe
shaam kar detā hai aksar koī zulfoñ vaalā
varna vo din huuñ ki Dhalnā nahīñ aatā hai mujhe
kitne dil toḌ chukā huuñ isī be-hunarī se
jaal meñ phañs ke nikalnā nahīñ aatā hai mujhe
beach dariyā ke maiñ dariyā to badal saktā huuñ
apnī kashtī ko badalnā nahīñ aatā hai mujhe
apne ma.anī ko badalnā to mujhe aatā hai
in ke lafzoñ ko badalnā nahīñ aatā hai mujhe
'farhat-ehsās' taraqqī nahīñ karnī mujh ko
itnī raftār se chalnā nahīñ aatā hai mujhe
Top Urdushayar.com