vo merī jaañ ke sadaf meñ guhar sā rahtā hai
meñ us ko toḌ na Dālūñ ye Dar sā rahtā hai
vo chehra ek shifā-ḳhāna hai mirī ḳhātir
vo ho to jaise koī chārāgar sā rahtā hai
maiñ us nigāh ke hamrāh jab se aayā huuñ
mujhe na jaane kahāñ kā safar sā rahtā hai
baḌā vasī.a hai us ke jamāl kā manzar
vo ā.īne meñ to bas muḳhtasar sā rahtā hai
mirī zamīñ ko mayassar hai āsmāñ us kā
kahīñ bhī jā.ūñ mire saath ghar sā rahtā hai