aayā zarā sī der rahā ġhul gayā badan
apnī uḌaa.ī ḳhaak meñ hī rul gayā badan
ḳhvāhish thī ābshār-e-mohabbat meñ ġhusl kī
halkī sī ik phuvār meñ hī ghul gayā badan
zer-e-kamān dil thā to thoḌī sī thī umiid
ab to hamāre haath se bilkul gayā badan
ab dekhtā huuñ maiñ to vo asbāb hī nahīñ
lagtā hai rāste meñ kahīñ khul gayā badan
maiñ ne bhī ek din use tārāj kar diyā
mujh ko halāk karne pe jab tul gayā badan