ayyām sirf shām-o-sahar ho ke rah ga.e
kaise ajiib log the ghar ho ke rah ga.e
ham ko pasand aa gayā sāhil kā mashvara
kashtī kī lakḌiyāñ the shajar ho ke rah ga.e
miTTī ke is makān ne dhoka diyā hameñ
sahrā-navard ḳhāk-basar ho ke rah ga.e
āñkheñ jhapak ke rah ga.iiñ dil kī vafāt par
sailāb sirf dīda-e-tar ho ke rah ga.e
pahle to apne paañv zamīñ se judā hue
phir yuuñ huā ki shahr-badar ho ke rah ga.e