Farhat Ehsas

nang dhaDang malang tarang mein aaega jo wahi kaam karenge

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
nañg dhaḌañg malañg tarañg meñ aa.egā jo vahī kaam kareñge
kufr kareñge jo aayā jī jī chāhā to islām kareñge
rāste bhar us ruup kī dhuup meñ jaan khapā.eñge maut kī had tak
chalte samay phir us kī zulf kī chhāñv meñ bisrām kareñge
dekho tum apne kachche dar-o-dīvār ko pakkā mat karvānā
shahr meñ jab bhī ā.eñge ham to tumhāre ghar hī qayām kareñge
aaj hamāre saroñ par hai ye sūraj par kal ḳhaak meñ hogā
ham ne to bas āvāz lagā dī baaqī kaam avaam kareñge
ham ko ek bahut hī baḌī sachchā.ī ko afsāna karnā hai
ḳhuub piyeñge sharāb-e-vahm aur ḳhuub ḳhayāl-e-ḳhām kareñge
ishq hī puurī tarah kar leñ to samjho koī jihād kiyā hai
ye 'farhat-ehsās' azal ke kāhil kyā koī kaam kareñge
Top Urdushayar.com