maiñ apne rū-e-haqīqat ko kho nahīñ saktā
vo ḳhvāb dekh liyā hai ki so nahīñ saktā
tamām paikar-e-bad-sūratī hai mard kī zaat
mujhe yaqīñ hai ḳhudā mard ho nahīñ saktā
ab apnā ġhair hī ho luuñ ki koī raah khule
jo honā chāhtā huuñ vo to ho nahīñ saktā
baḌā sahī pa hai nā-jins āsmān kā biij
ise maiñ apnī zamīnoñ meñ bo nahīñ saktā
phañse hue haiñ ḳhud apnī hī bhiiḌ meñ aañsū
maiñ ronā chāhtā huuñ aur ro nahīñ saktā
tum apne jism ke kuchh to charāġh gul kar do
maiñ raushnī huuñ ziyāda to so nahīñ saktā
tumhāre zaḳhm haiñ 'ehsās' aur miTTī ke
maiñ āñsuoñ se to ye zaḳhm dho nahīñ saktā