Farhat Ehsas

khaDi hai raat andheron ka azhdaham lagae

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
khaḌī hai raat añdheroñ kā azhdahām lagā.e
aur ek raushnī baiThī hai apnā kaam lagā.e
ye kam nahīñ ki ḳharīdā usī parī ne hameñ
agarche us ne bahut kam hamāre daam lagā.e
maiñ āftāb-zada huuñ kahāñ hai zulf us kī
ki aa.e aur mirī āñkhoñ pe apnī shaam lagā.e
maiñ aayā kaam kiyā apnā aur chal bhī diyā
zamāna baiThā rahā apnā tām-jhām lagā.e
na jaane kitne zamānoñ kī muntazir āñkheñ
rah-e-umīd pe baiThī huī haiñ jaam lagā.e
chaman meñ us ne lagā.e hamāre naam ke phuul
to ham ne safha-e-hastī pe us ke naam lagā.e
magar maiñ chhūT gayā mere zor-e-dasht kī ḳhair
tamām shahr rahā qufl-e-intizām lagā.e
hamārī baarī ab aanī hai kūza-gar se kaho
ki rañg shoḳh kare ḳhuub ḳhaak ḳhaam lagā.e
mulāzmat jo milī daftar-e-fanā meñ milī
phire the ham jo bahut arzī-e-davām lagā.e
banā hai shahr kā sarmāya-kār yuuñ 'ehsās'
ki ik halāl lagāne meñ sau harām lagā.e
Top Urdushayar.com