Farhat Ehsas

mere sheron mein fankari nahin hai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
mire sheroñ meñ fankārī nahīñ hai
ki mujh meñ itnī hushyārī nahīñ hai
davā-e-maut kyuuñ lete ho itnī
agar jiine kī bīmārī nahīñ hai
badan phir se ugā legī ye miTTī
ki maiñ ne jaañ abhī haarī nahīñ hai
mohabbat hai hī itnī sāf-o-sāda
ye merī sahl-añgārī nahīñ hai
ise bachchoñ ke hāthoñ se uThāo
ye duniyā is qadar bhārī nahīñ hai
maiñ us patthar se Takrātā huuñ be-kār
zarā bhī us meñ chiñgārī nahīñ hai
na kyuuñ sajda kare apne butoñ kā
ye sar masjid kā darbārī nahīñ hai
gayā ye kah ke mujh se ishq kā rog
ki tujh ko shauq-e-bīmārī nahīñ hai
hamārā ishq karnā jism ke saath
ibādat hai gunahgārī nahīñ hai
ba-rāh-e-jism hai saarā tasavvuf
badan suufī hai braham-zhārī nahīñ hai
ye koī aur hogā 'farhat-ehsās'
nahīñ ye bhī mirī baarī nahīñ hai
Top Urdushayar.com