kaisī balā-e-jāñ hai ye mujh ko badan kiye hue
miTTī ke is bides ko apnā vatan kiye hue
mere lab-e-vajūd par sūkhe paḌe hue haiñ lafz
maujoñ zamāna ho gayā us se suḳhan kiye hue
aayā thā ik gul-e-visāl dāman-e-hijr meñ kabhī
maiñ huuñ us ek phuul ko apnā chaman kiye hue
us kī taraf se aaj tak shor na ḳhāmushī koī
kab se huuñ us ḳhalā kī samt rū-e-suḳhan kiye hue