Farhat Ehsas

kuchh batata nahin kya saneha kar baiTha hai

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
kuchh batātā nahīñ kyā sāneha kar baiThā hai
dil mirā ek zamāna huā ghar baiThā hai
ye zamāna mujhe bachcha sā nazar aane lagā
jis tarah aa ke mire zer-e-nazar baiThā hai
mujh se dekhī nahīñ jaatī koī jaatī huī chiiz
tire uThte hī mire dil meñ jo Dar baiThā hai
farq mushkil hai bahut dasht ke bāshindoñ meñ
aadmī baiThā hai aisā ki shajar baiThā hai
pul kī ta.amīr kā sāmān nahīñ ishq ke paas
ruuh baiThī hai udhar jism idhar baiThā hai
rāt-bhar us ne hī kohrām machā rakkhā thā
kaisā ma.asūm sā ab dīda-e-tar baiThā hai
saare ahbāb taraqqī kī taraf jaate hue
'farhat-ehsās' sar-e-rāhguzar baiThā hai
Top Urdushayar.com