Farhat Ehsas

tum kuchh bhi karo hosh mein aane ke nahin hum

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
tum kuchh bhī karo hosh meñ aane ke nahīñ ham
haiñ ishq gharāne ke zamāne ke nahīñ ham
ham aur mohabbat ke sivā kuchh nahīñ karte
vo ruuTh gayā hai to manāne ke nahīñ ham
dariyā hai mohabbat to mile jism kā maidān
ik jism pyāle meñ samāne ke nahīñ ham
ham par bhī kabhī apnī halākat kī nazar Daal
sach jaan ki jaan apnī bachāne ke nahīñ ham
kitnā hī kare shor yahāñ aa ke zamāna
tujh par se magar dhyān haTāne ke nahīñ ham
ye jism faqat ek taraf kā hai musāfir
jā kar phir usī jism meñ aane ke nahīñ ham
paas aao ki ham khā to nahīñ jā.eñge tum ko
bas daañt dikhāne ke haiñ khāne ke nahīñ ham
'ehsās'-miyāñ piir haiñ murshid haiñ hamāre
ab uTh ke yahāñ se kahīñ jaane ke nahīñ ham
Top Urdushayar.com