Farhat Ehsas

tumhein us se mohabbat hai to himmat kyun nahin karte

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
tumheñ us se mohabbat hai to himmat kyuuñ nahīñ karte
kisī din us ke dar pe raqs-e-vahshat kyuuñ nahīñ karte
ilaaj apnā karāte phir rahe ho jaane kis kis se
mohabbat kar ke dekho nā mohabbat kyuuñ nahīñ karte
tumhāre dil pe apnā naam likkhā ham ne dekhā hai
hamārī chiiz phir ham ko ināyat kyuuñ nahīñ karte
mirī dil kī tabāhī kī shikāyat par kahā us ne
tum apne ghar kī chīzoñ kī hifāzat kyuuñ nahīñ karte
badan baiThā hai kab se kāsa-e-ummīd kī sūrat
so de kar vasl kī ḳhairāt ruḳhsat kyuuñ nahīñ karte
qayāmat dekhne ke shauq meñ ham mar miTe tum par
qayāmat karne vaalo ab qayāmat kyuuñ nahīñ karte
maiñ apne saath jazboñ kī jamā.at le ke aayā huuñ
jab itne muqtadī haiñ to imāmat kyuuñ nahīñ karte
tum apne hoñTh ā.īne meñ dekho aur phir socho
ki ham sirf ek bose par qanā.at kyuuñ nahīñ karte
bahut nārāz hai vo aur use ham se shikāyat hai
ki is nārāzgī kī bhī shikāyat kyuuñ nahīñ karte
kabhī allāh-miyāñ pūchheñge tab un ko batā.eñge
kisī ko kyuuñ batā.eñ ham ibādat kyuuñ nahīñ karte
murattab kar liyā hai kulliyāt-e-zaḳhm agar apnā
to phir 'ehsās-jī' is kī ishā.at kyuuñ nahīñ karte
Top Urdushayar.com