diyā jalā bhī nahīñ jo use bujhā diyā jaa.e
hameñ bhī vaqt se pahle hī ab sulā diyā jaa.e
yahī razā hai agar kātib-e-muqaddar kī
to jo panap na sake phir use miTā diyā jaa.e
rahe na zad meñ kisī bhī badalte mausam kī
nihāl-e-dil pe vahī phuul ik khilā diyā jaa.e
kisī ko paane kā ehsās is tarah se rahe
to bazm-e-dost se dushman ko hī uThā diyā jaa.e
falak ko chhūne kī be-sūd aarzū na mile
maiñ ḳhaak huuñ to mujhe ḳhaak meñ milā diyā jaa.e
yahī mutālba 'raziya' hai aaj munsif se
hamāre sabr-o-razā kā koī sila diyā jaa.e