ruktī nahīñ hai gardish-e-daurāñ kahā na thā
uTThā kareñge nit-na.e tūfāñ kahā na thā
baḌhtā rahegā hausla-e-jabr-o-iḳhtiyār
taḌpā kareñge zulm se insāñ kahā na thā
har roz hoñge qatl ke sāmāñ na.e na.e
har shaam hogī shām-e-ġharībāñ kahā na thā
jaarī rahā jo silsila-e-zabt-e-ārzū
lau de uThegī sozish-e-pinhāñ kahā na thā
tazlīl-e-e'tibār-o-yaqīñ hoñge harf-o-saut
luTtī rahegī daulat-e-īmāñ kahā na thā
duniyā se munsifī kī tavaqqo fuzūl hai
baiThe rahoge hashr-ba-dāmāñ kahā na thā