Saeed Ahmad Akhtar

hai qaht na tufan na koi KHauf waba ka

Saeed Ahmad Akhtar

Pishin, Balochistan, Pakistan

1932-2013
hai qaht na tūfāñ na koī ḳhauf vabā kā
is des pe saaya hai kisī aur balā kā
har shaam sisaktī huī fariyād kī vaadī
har sub.h sulagtā huā sahrā hai sadā kā
apnā to nahīñ thā maiñ kabhī aur ġhamoñ ne
maarā mujhe aisā rahā terā na ḳhudā kā
phaile hue har-samt jahāñ hirs-o-havas huuñ
phūlegā phalegā vahāñ kyā peḌ vafā kā
hāthoñ kī lakīreñ tujhe kyā samt dikhā.eñ
sun vaqt kī āvāz ko ruḳh dekh havā kā
luqmān-o-masīhā ne bhī koshish to bahut kī
hotā hai asar us pe duā kā na davā kā
is baar jo naġhma tirī yādoñ se uThā hai
mushkil hai ki pāband ho alfāz-o-sadā kā
itnī tire insāf kī dekhī haiñ misāleñ
lagtā hī nahīñ mulk tirā mulk ḳhudā kā
samjhā thā vo andar kahīñ paivast hai mujh meñ
dekhā to mire haath meñ āñchal thā sabā kā
Top Urdushayar.com