umr-bhar ḳhuun se likkhā hai jis afsāne ko
kitnā kam rañg hai us shoḳh ke nazrāne ko
khiltī rahtī haiñ tire pyaar kī kaliyāñ har-sū
baaġh nīlām na kar deñ mire vīrāne ko
mai se raġhbat to mujhe bhī hai magar bas itnī
nāchte dekh liyā duur se paimāne ko
aur martā kahīñ jā kar tire dar se lekin
hosh itnā bhī kahāñ thā tire dīvāne ko
kyā ḳhabar thī ye tirā dar ye tirā kūcha hai
maiñ to bas baiTh gayā thā zarā sustāne ko
sham.a jalne kī ijāzat nahīñ detī 'aḳhtar'
shauq bujhne nahīñ detā mire parvāne ko