Saeed Ahmad Akhtar

sirf un ke kuche mein jaan bichha ke chalte hain

Saeed Ahmad Akhtar

Pishin, Balochistan, Pakistan

1932-2013
sirf un ke kūche meñ jaañ bichhā ke chalte haiñ
varna chāhne vaale sar uThā ke chalte haiñ
kyā gunah huā un se kyuuñ tirī galī ke log
apne ghar ke andar bhī muñh chhupā ke chalte haiñ
haañ ḳhudā bhī ho shāyad koī apnī bastī kā
hukm us jagah saare nāḳhudā ke chalte haiñ
zaḳhm bhī nahīñ lagte ḳhuun bhī nahīñ bahtā
tiir us kī mahfil meñ kis balā ke chalte haiñ
shaam ko unheñ 'aḳhtar' gulistāñ meñ dekheñge
jab vo apnī zulfoñ meñ dil sajā ke chalte haiñ
Top Urdushayar.com