Saeed Ahmad Akhtar

phenke hue be-kar khilaune ki tarah hun

Saeed Ahmad Akhtar

Pishin, Balochistan, Pakistan

1932-2013
pheñke hue be-kār khilaune kī tarah huuñ
maiñ baaġh ke ujḌe hue goshe kī tarah huuñ
tū dil meñ utartī huī ḳhushbū kī tarah hai
maiñ jism se utre hue kapḌe kī tarah huuñ
kuchh aur bhī din mujh ko samajhne meñ lageñge
maiñ ḳhvāb meñ dekhe hue raste kī tarah huuñ
saaya sā ye kis chiiz kā hai mere vatan par
maiñ kyuuñ kisī sahme hue qisse kī tarah huuñ
maiñ maañ huuñ satā.ī huī had darja bahū kī
aur beTe pe aa.e hue ġhusse kī tarah huuñ
ho jaa.eñ kabhī jā ke vahīñ sindh kināre
bāteñ koī do chaar jo pahle kī tarah huuñ
ab to kisī mahkār kī yādoñ kā safar hai
aur maiñ kisī bhūle hue qisse kī tarah huuñ
jis meñ koī dar hai na darīcha na makīñ hai
us ghar pe lagā.e hue pahre kī tarah huuñ
kyā hogī talāfī mire nuqsān kī 'aḳhtar'
maiñ qaid meñ guzre hue arse kī tarah huuñ
Top Urdushayar.com