Saeed Ahmad Akhtar

kal tak jo dil ghurur-e-jalal-o-jamal tha

Saeed Ahmad Akhtar

Pishin, Balochistan, Pakistan

1932-2013
kal tak jo dil ġhurūr-e-jalāl-o-jamāl thā
aaj un ke rāste meñ paḌā pā.emāl thā
zanjīr thī kahīñ na kahīñ koī jaal thā
lekin tirī fazā se nikalnā muhāl thā
thā tiir un ke paas vahī ek be-nazīr
aur zaḳhm jo lagā vo bhī apnī misāl thā
us ne bhalā kahā ki burā us kī ḳhair ho
maiñ sun ke chup rahā to ye merā kamāl thā
chup-chāp sar jhukā.e hue maiñ guzar gayā
maiñ jāntā thā jo tirī bastī kā haal thā
achchhā huā guzar gayā 'aḳhtar' jahān se
muddat se vo 'sa.īd' ke ġham meñ niDhāl thā
Top Urdushayar.com