ye hādsa bhī to kuchh kam na thā sabā ke liye
guloñ ne kis liye bose tirī qabā ke liye
vahāñ zamīn par un kā qadam nahīñ paḌtā
yahāñ taraste haiñ ham log naqsh-e-pā ke liye
tum apnī zulf bikhero ki āsmāñ ko bhī
bahāna chāhiye mahshar ke iltavā ke liye
ye kis ne pyaar kī sham.oñ ko bad-duā dī hai
ujaaḌ rāhoñ meñ jaltī raheñ sadā ke liye
abhī to aag se sahrā paḌe haiñ raste meñ
ye ThanDakeñ haiñ fasāne kī ibtidā ke liye
sulag rahā hai chaman meñ bahār kā mausam
kisī hasīn ko āvāz do ḳhudā ke liye